250 sayings of hazrat ali


1. Agar tum kisi ko dokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.

2. Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.

3.Hamesha apni choti choti ghaltiyon se bachne ki koshish karo, kyunki insaan pahadon se nahi balki chote chote pattharon se thokar khata hai.

4. Tumhari niyyat ki aazmaish us waqt hoti hai? Jab tum kisi aise insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.

5. Zindagi ko is tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur aakhirat ki fikr aise karo jaise agle hi pal marr jana hai.

6. Agar kisi ka zarf aazmana ho to use zyada izzat do, Wo aala zarf hua to aap ko aur zyada izzat dega. Aur agar kam zarf hua to khud ko aala samjhega.

7. Kabhi apne dost ki sacchai ka imtehan na lo, kya pata us waqt wo majboor ho aur tum ek accha dost kho baitho?

8. Jab aankein nafs ki pasandeeda cheezein dekhne lage to dil anjaam se andha ho jata hai.

9. Kisi ko tum chaho aur woh tumhe thukra de? To yeh uski badnaseebi hai. Aur agar koi tumhe na chahe aur tum use zabardasti apna banana chaho? To yeh tumhare nafs ki zillat hai.

10. Main jannat ke shauq me ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi tijarat hai.Main dozakh ke khauf se bhi ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi ghulami hai.Main ibadat sirf isliye karta hoon kyunki mera RAB ibadat ke qabil hai aur koi nahi.

11. Agar dost banana tumhari kamzori hai? To tum duniya ke sabse taqtwar insaan ho.

12. Zindagi me kabhi haalat ke saath samjhauta karna pade to ghabrana mat "Dost", Jhukta wohi hai jisme jaan hoti hai, akadna to murde ki pehchan hoti hai.

13. Insan ke bimaar hone ki ek badi wajah doston ki judai hai.

14. Apno ko hamesha apne hone ka ehsaan dilate raho warna waqt aapke apno ko aap ke bina jeena sikha dega.

15. A wise man first thinks and then speaks and a fool speaks first and then thinks.

16. Jab main dastarkhan par do rang ke khane dekhta hoon to main mayus ho jata hoon ki aaj phir kisi ka haq mara gaya.

17. Kisi se mohabbat karne se pehle apne dil me qabristan banalo, ta ki uski choti choti ghaltiyon ko dafna sako.

18. Duniya me char dafa waqt ruk gaya tha:1-Jab Nabi-e-Kareem (pbuh) meraj par gaye the.2-Jab Hazrat Bilal (r.a) ne azan nahi di thi.3-Jab Bibi fatima-tu-Zehra (r.a) ke sir se dupatta sirq gaya tha aur do baal nazar aa rahe the.4-Jab Hazrat Ali (r.a) ki namaz qaza ho rahi thi.

19. Jisne kisi ko akele me nasihat ki? Usne use sanwaar diya. Aur jisne kisi ko sab ke saamne nasihat ki? Usne Uske mazeed bigaad diya.

20. Mujhe dua qabool hone ki fikr nahi? Mujhe sirf dua maangne ki Fikr hai. Jab mujhe dua maangne ki taufeeq hogayi hai to qabooliyat bhi uske sath hasil hojayegi.

21. Teen rishte be-naqaab hojate hai. (Budhape mein aulaad, musibat mein dost aur ghurbat me biwi)

22. Lambi dosti ke liye do cheezon par amal karo. (Apne dost se gusse me baat mat karo aur apne dost ki gusse me kahi hui baat dil pe mat lo)

23. Duniya mein behtreen insaan wo hai jiske liye koi roye aur badtareen insaan wo hai jiski wajah se koi roye.

24. Koi tumse bhalai ki umeed rakhe to use mayus mat karo, kyunki logon ki zaruraton ka tumse waabasta hona tum par ALLAH ki inayat hai.

25. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aise chahta ho jaise marne wala zindagi?

26. Jiska raabta khuda ke saath ho wo naakam nahi hota. Naakam wo hota hai jiski umeedein duniya se waabasta ho.

27. Insaan bhi kya cheez hai, daulat kamane ke liye apni sehat kho deta hai.Phir sehat ko wapis pane ke liye apni daulat khota hai.Mustaqbil ko soch kar apna haal zaya karta hai, phir mustaqbil me apna maazi yaad karke rota hai.Jeeta aise hai jaise kabhi marega hi nahi, aur marr aise jata hai jaise kabhi jiya hi nahi.

28. Apne din ka aaghaz sadqa dene se shuru karo. Us din tumhari koi dua radh nahi ki jayegi aur acchi baat batana bhi sadqa hai.

29. Namaz padhne ke dauran tumhari kaifiyat in do me se ek honi chahiye. (Tum ALLAH ko Dekh rahe ho ya phir ALLAH tumhe dekh raha hai)

30. Yeh na socho ki ALLAH dua fauran qabool kyun nahi karta? Yeh shukr karo ki ALLAH humare gunahon ki saza fauran nahi deta.

31. Insaan ko acchi niyyat pe wo inaam milta hai, jo use acche aamal par bhi nahi milta.

32. Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khushi me badal jati hai.

33. Agar log Namaz-e-Fajr ka sawab aur fazeelat ko jaan le to raat ko is khauf se sona chhod denge ki kahi neend ki wajah se namaz na choot jaye.

34. Namaz ki fikr apne upar farz karlo, khuda ki qasam duniya ki fikr se azad hojaoge aur kamyabi tumhare qadam choomegi.

35. Daulat milne par log badalte nahi, balki Be-naqaab hote hai.

36. Kabhi bhi apni jismaani taaqat aur daulat par bharosa na karna kyunki bimaari aur ghurbat aane me der nahi lagti.

37. Insaan gunah karne ki wajah se jahannum me nahi jata? Balki gunah par mutmaeen rehne aur tauba na karne ki wajah se jahannum me jata hai.

38. Duniya usko yateem samajhti hai jiske maa baap na ho, lekin main yateem usko samajhta hoon jiske acche dost na ho.

39. Nafrat gunah se karo, gunah karne wale se nahi. Shayad! tumhari mohabbat me aa kar wo gunah karna hi chhod de?

40. Insaan ka fuzool shauq me waqt kho dena is baat ki daleel hai ki ALLAH us se naraz hai.

41. Momin woh nahi jiski mehfil paak hai, momin woh hai jiski tanhai paak hai.

42. Agar kisi ko yeh ghuroor ho ki wo tumse jitni martaba naraz ho to tum use mana loge? To behtar hai tum uska ghuroor tootne na do.

43. Jo tumhe khushi me yaad aaye? Samajhlo tum us se mohabbat karte ho. Aur jo tumho gham me yaad aaye? Samajhlo wo tumse mohabbat karta hai.

44. Gunaah jawaan ka bad hai magar budhe ka badtar.

45. Mushkilat hamesha behtareen logon ke hisse me aate hai. Kyunki wo usko behatreen tareeqe se anjaam dene ki salahiyat rakhte hai.

46. Hargiz aise shakhs ki dosti ikhtiyar na karo jo tumhari buraiyon ko yaad rakhe aur khoobiyon ko bhool jaye.

47. Jo shakhs hamesha tumhara bhala chahe, uska udas hona tumhare liye fikr ki baat hai.

48. Agar rizq Aqal-o-Danish se milta to jaanwar aur bewakoof zinda hi na rehte.

49. Musibat me ho to kabhi yeh na socho ki kaunsa dost kaam aayega? Balki yeh socho ki ab kaunsa dost chhod ke jayega?

50. Insaan ke aansu us waqt muqaddas hote hai, jab wo kisi aur ki takleef mehsus kar ke nikle.

51. Azaadi ki hifazat na karne wala ghulami me giraftar ho jata hai.

52. Hazrat Mohammad (pbuh) se 10 moharram ke roze ke baare me sawal kiya gaya?To aap (pbuh) ne farmaya: "Yeh guzishta saal ke gunahon ka kaffara ban jata ha aur agar main ainda saal tak zinda raha to 9 moharram ka bhi roza zaroor rakhunga".

53. Jab insaan naarazgi khatam karne me pehl karta hai? To iska yeh matlab nahi ki wo ghalat tha, iska matlab hai ki use aan se zyada rishta aziz hai.

54. Aye insan agar tujhe yeh maloom ho jaye ki sajde ke dauran tujh par kitni rehmatein nazil hoti hai? To tu kabhi sajde se sar uthayega hi nahi.

55. Yeh duniya kitni ajeeb hai imaandar ko bewaqoof, be-imaan ko aqalmand, aur behaya ko khoobsurat kehti hai.

56. Agar tumhe ek doosre ki niyyaton ka pata chal jaye, to tum ek doosre ko dafnana hi chhod doge.

57. Mujhe wo dost pasand hai jo mehfil me meri ghalatiyan chupaye or tanhai me meri ghalatiyon par tanqeed kare.

58. Dost ki koi baat buri lage to khamosh hojao. Agar wo dost hai to use us baat ka ranj hoga. Aur agar na hua to tum samjh lena ki wo tumhara dost nahi.

59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai: Aam dost sirf tareef karta hai. Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.

60. Jhoothe ki sabse badi saza yeh hai ki uske sach ka bhi Aitbaar koi nahi karte.

61. Kisi ko paane ki Tamanna mat karo, Balki is qabil hojao log aapko paane ki tamanna kare.

62. Tanhai me gunaah se bacho, kyunki iska gawah khud Allah'taala hota hai.

63. Log tumhari aqal se tumhari shaksiyat ka wazan karte hai. Lehaaza tum apni aqal ka wazan ilm se badhao.

64. Tumhara nafs bohot keemti hai. Ise jannat se kam kisi keemat pe mat bechna.

65. Apna behatreen waqt namaz ke liye muqarrar kar do, kyunki tumhare sab kaam tumhari namaz ke baa'is qubool honge.

66. Insaan ka kirdaar uski zaban ke neeche dafan hota hai.Agar kisi shakhs ke kirdaar ka pata lagana ho? To use sakht gusse ki haalat me dekho.

67. Duniya me kabhi kisi acche insaan ko talaash mat karo, balki khud acche ban jao. Ho sakta hai ki tumhare is amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaye?

68. Jis tarah shabnam ke qatre murjhaye hue phool ko taazgi dete hai, usi tarah acche alfaz mayus dilon me roshni bharte hai.

69. 5 Cheezon ki 5 jagah par hifazat karo:1-Mehfil me zaban ki.2-Bazar me aankh ki.3-Namaz me dil ki.4-Dastarkhan par pet ki.5-Nigah me haya ki.

70. Jahan sadqat aur khuloos nazar aaye? Wahan dosti ka haath badhao. Warna tumhari tanhai tumhari behtareen saathi hai.

71. Yeh zindagi do din ki hai: Ek din tumhare haq me aur ek din tumhare khilaf.Jis din tumhare haq me ho us din ghuroor mat karna aur jis din tumhare khilaf ho us din sabr karna.

72. Lambi umeedon se parhez kiya karo, kyunki yeh doosri nematon ko tumhari nazar me chota bana deti hai aur tum unki shukr guzari nahi karte.

73. Sabr ki do surtein hai. (Jo na-pasand ho use bardasht karna aur jo pasand ho uska intezar karna)

74. Dosti ki zeenath ek doosre ki baat ko bardasht karna hai. Be-aib dost talaash mat karo warna akele reh jaoge.

75. Hazrat Ali (r.a) ne farmaya ki: "Main poori zindagi me sirf ek raat sukoon se soya hoon".Poocha gaya "Wo kaunsi"?
Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: "Jis din Hazrat Mohammed (pbuh) ne farmaya ki Aye Ali! kal tumhe maal-e-ghanimat taqseem kar ke aana hai. Kyunki sirf us raat mujhe yaqeen tha ki main subha zinda uthunga"
*Subhan'Allah*

76. Zindagi ko zaruriyat ki taraf le jao khwahishat ki taraf nahi. Kyunki zaruriyat to faqeeron ki bhi poori hoti jati hai aur khwahishat Baadshahon ki bhi adhoori reh jati hai.

77. Log pyaar ke liye hote hai aur cheezein istemaal ke liye. Baat us waqt bigadti hai jab cheezon se pyaar aur logon ko istmaal kiya jaye.

78. Na insaan apni marzi se paida hua aur na apni marzi se marega. Phir wo inke beech ka arsa apni marzi se kyun guzarna chahta hai??

79. Jis darakht ki lakdi narm hogi, uski shakhein zyada hogi. Narm tabiyat ikhtiyar karo taaki tumare dost zyada ho.

80. Aqlaaq ki keemat kuch nahi deni padti hai. Magar us se har cheez khareedi ja sakti hai.

81. Jab insaan ki aqal mukammal ho jati hai, to uski guftagu mukhtasar ho jati hai.

82. Agar koi accha lage to us se kam mila karo, agar koi zyada accha lage to us se sirf dekha karo aur agar koi dil me utar jaye to use sirf yaad kiya karo.

83. Acche logon ki ek ya nishani bhi hai ki unko yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jate hai.

84. Tum kala libaas mat pehna karo, Kyunki beshak yeh firon ka libaas hai.

85. Rizq ke peeche apna imaan kharab mat karo. Kyunki naseeb ka rizq insaan ko aise talaash karta hai jaise marne wale ko maut.

86. Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat yeh hai ki aisa dost banao jo tumhara saath us waqt de jab lakhon tumhare dushman ho.

87. Aitbaar aur pyar do aise parindey hai? Agar in me se ek udd jaye to doosra khud hi udd jata hai.

88. Jis shaks me wafadari na ho? Uske saath dosti karne ka matlab khud ko zaleel karna hai.

89. ALLAH ke nazdeek sabse zyada gunahgar cheez jhoot bolne wali zaban hai.

90. Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.

91. Jo apne aap ko mohtaaj banata hai wo hamesha mohtaaj hi rehta hai.

92. Insaan apni touheen maaf to kar sakta hai par bhool nahi sakta.

93. Tum accha karo aur zamana bura samjhe? Yeh tumhare haq me behtar hai bajaye iske tum bura karo aur zamana tum ko accha samjhe.

94. Tum gulaab ka phool ban jao, kyunki yeh phool uske haathon me bhi khushboo chhod jata hai jo ise masal kar phenk deta hai.

95. Apni kismat pe wo rota hai jo sajde me nahi rota.

96. Bura dost aag ki tarah hai, agar jalta hai to aapko bhi jala dega aur agar bujha hai to aapke haath kale kar dega.

97. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi kehlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge.

98. Koshish karo ki tum duniya me raho, Duniya tum me na rahe. Kyunki kashti jab tak pani me rehti hai, khoob terti hai. Lekin jab pani kashti me aa jata hai to wo doob jati hai.

99. Jab bhi farig waqt mile to apni maa ke paas ja ke baitha karo, kyunki maa ke saath guzara hua waqt qayamat ke din nijat ka baa'is banega.

100. Kisi ke khuloos aur pyar ko uski bewakoofi mat samjho, warna kisi din tum khuloos aur pyar talaash karoge aur log tumhe bewakoof samjhenge.

101. Agar duniya me sukoon hota to ALLAH ko kaun yaad karta? Sukoon to sirf unlogon ke paas hai jo ALLAH ki raza ko apni raza samajhte hai.

102. Agar kisi par ehsaan karo to use doosron se bhi chupaya karo.

103. Sabse bada gunaah wo hai ho karne wale ki nazar me chota ho.

104. Jo zara si baat pe dost na rahe? Samajh lena wo dost kabhi tha hi nahi.

105. Jab tum kisi se mohabbat karo to us se zara bhi mohabbat na maango, kyunki tum ne mohabbat ki hai tijarat nahi.

106. Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho ya phir ghuroor se.

107. Log dukh nahi dete, logon se waabasta umeedein dukh deti hai.


108. Kisi ki madad karte waqt uske chehre ki jaanib mat dekho, ho sakta hai uski sharminda aankhein tumhare dil me ghuroor ka beej bo de?

109. Jab tum duniya ki muflisi se tang aa jao aur rizq ka koi raasta na nikle? To tum sadqa de kar ALLAH se tijarat karo.

110. Zindagi ustaad se bhi zyada sakht hoti hai, ustad sabaq de kar imtehan leta hai aur zindagi imtehan le kar sabaq deti hai.

111. Wo gunah jis ka tumhe ranj ho, ALLAH ke nazdeeq us neki se behtar hai jis se tum me ghuroor paida ho jaye.

112. Jab meri Ddua qabool hoti hai to main khush hota hoon. Kyunki isme meri marzi hai.Aur jab qabool nahi hoti hai to mai aur bhi zyada khush hota hoon kyunki isme ALLAH ki marzi hai.

113. Zaalimon ko maaf karna mazloomon par zulm hai.

114. Aazmaye hue ko aazmana bewakoofi hai.

115. Jab tumhe mehsoos ho ki tumhe Zikr-e-Elahi se mohabbat ho gayi hai? To samjho wo tumhe pasand karta hai.

116. Jab gunahon ke ba-wajud ALLAH ki nematein musalsal tujhe milti rahe? To hoshyar ho jana, tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai.

117. Apni zaban ko qaboo me rakhne wala hamesha faiyde me rehta hai.

118. Jab main chahta hoon ki ALLAH se baat karun? To main namaz padhta hoon.Aur jab main chahta hoon ki ALLAH mujhse baat kare? To main QURAN padhta hoon.

119. Logon se be-wajah behes (Argue) mat karo, is se unke dil me tumhari abrooh khatam ho jayegi.Aur logon se zyada mazak (Joke) bhi na karo, kyunki is se logon me tumse baat karne ki jurrat (Dareness) paida ho jayegi.

120. Us shaks par zulm karne se bacha raha karo? Jiska ALLAH ke siwa koi na ho.

121. Jab kisi kaam me acche bure ki pehchan na rahe? To aaghaz ko dekh kar anjaam ko pehchano.

122. Aqalmandi fikr me mubtala kar deti hai.

123. Sabse behtar wo shaks hai, jo aise logon se accha sulook kare jin se use koi umeed na ho.

124. Jiski taleem ka maqsad yeh ho ki, wo ulmaa se behes kare, jaahilon par rob jamaye aur logon ko apni taraf maa'il kare? Wo jahannumi hai.

125. Teen kaam kisi ke dil me aapki izzat badhate hai. (Salaam karna, kisi ko apni jagah dena aur asal naam se pukarna)

126. Jo shaks tumhari nigahon se tumhari zarurat ko nahi samajh sakta, use kuch keh kar khud ko sharminda na karo.

127. Wo KHUDA se daro! Jao tumhare gunah is tarah chupata hai jaise usne tumhe maaf kar diya ho.

128. Jab tum kisi insaan ki tabiyat parakhna chaho to us se mashwara lo. Yaqeenand tum uske mashware se uska insaaf, zulm, neki, badi sab jaan jaoge.

129. Jab koi dost apne dost ke liye khuloos se dua karta hai, to wo dua uske dost ke haq me baad me aur pehle uske apne haq me qabool hoti hai.

130. Jab dua aur koshish se baat na bane? To faisla ALLAH par chhod do, ALLAH apne bandon ke baare me behtar faisla karne wala hai.

131. Log aam taur par aib se yaqeenand khali nahi, par kisi ke posheeda aib zahir na karo. Kyunki unka faisla sirf ALLAH ke haath me hai.

132. Saza dene me der karo. Yahan tak ki, tumhara gussa thanda ho jaye.

133. Kis tarah pata lagaya jaye ki insaan par aane wali musibat saza hai ya aazmaish? To jo musibat ALLAH se door kare wo saza aur jo qareeb kare wo aazmaish hai.

134. Sabse bura dost wo hai, jiske liye takalluf karna pade.

135. Duniya me sabse badi neki band mutthi khairat hai.

136. Tumhare khauf ki yeh hadh honi chahiye ki, tum agar saare jahan ke nek aamal bhi lekar jaoge to ALLAH qabool nahi karega.Aur tumhari umeed ki yeh inteha honi chahiye ki, tum agar saare jahan ke gunah bhi karke jaoge to ALLAH tumhe baksh dega.

137. Agar tum maut ki raftar ko dekh lete? To umeedon se nafrat karte aur kabhi inko poora karne me masroof na hote.

138. Jisne tumhare saath burayi ki ho, uske saath tum ehsaan karke uska badla de do. kyunki ehsaan bad-zabano ki bhi zaban band kar deta hai.

139. Jab tumhara dil gunah ke kaamon me lagna shuro ho jaye? To yeh is baat ki daleel hai ke tumhara Rab tumse naraz hai.

140. Koi gunah lazzat ke liye na karo, kyunki lazzat khatam ho jayegi gunah baaqi reh jayega. Aur koi neki takleef ki wajah se mat chhodna, kyunki takleef khatam ho jayegi neki baaqi reh jayege.

141. Hazrat Ali (r.a) se poocha gaya: Insaan bura kab banta hai?Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: Jab wo apne aapko accha samajhne lage.

142. Daulat mitti ki tarah hai, aur mitti ko paon ke neeche rehna chahiye. Agar sir par chadh jaye to qabr ban jayegi aur qabrein zinda insaano ke liye nahi hoti.

143. Musibat pehle ek hoti hai magar beqarari aur besabri se do ho jati hai.

144. Galat baat par gussa aa jana sharafat ki nishani hai. Lekin usi gusse ko pee jana Momin ki nishani hai.

145. Jis shaks ne apna raaz kise ko bata diya wo us ka mohtag ho gaya.

146. Jo dukh de use chhod do magar jise chhod do use dukh na do, agar tum ALLAH ki ibadat nai kar sakte to gunah karna bhi chhod do.

147. Nabi-e-Kareem (pbuh) ne farmaya: Jab tum kuch bhool jao to mujh par durood padho! *Insha'Allah* yaad aa jayega.

148. Kabhi bhi kamyabi ko dimag me aur na-kaami ko dil me jagah mat do. Kyunki kamyabi dimag me takabbur aur na-kaami dil me mayusi paida kar deti hai.

149. Sirf do log muqaddar wale hote hai. (Wo jinhe Wafadar Dost Milte hai aur wo jinke saath maa ki Duaein hoti hai)

150. Insaan ko bolne ke liye ek saal lagta hai. Magar kaunsa lafz kahan istemaal karna seekhne ke liye saari zindagi lag jati hai.

151. Ek aurat tandoor par rotiyan paka rahi thi, tab uska baccha bar bar aag ke paas bhaage ja raha tha. Aur wo aurat uske bacche ko bar bar aag se door kar rahi thi.Nabi-e-Kareem (pbuh) ne sahaba (r.a) se poocha: "Yeh aurat aisa kyun karti hai"?Sahaba: Taki baccha aag se bacha rahe.Nabi-e-Kareem (pbuh) ne farmaya: "Maa se bhi 70 guna zyada mohabbat karne wala Rab bilkul isi tarah apni makhluq ko aag se bachane ki koshish karta hai. Lekin makhluq chote bache ki tarah bar bar aag ke kareeb bhaagi ja rahi hai.

152. Na Aal-e-Mohammed (pbuh) ki mohabbat ke bharose ALLAH ki ibadat ko chodna.Aur na hi ibadat ke bharose Aal-e-Mohammed(pbuh) ki mohabbat ko chodna.Kyunki in me se kisi ek ko bhi doosre ke bagair qabool nahi kiya jayega.

153. Dua maangte raho kyunki mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai, ALLAH ke liye to kuch bhi na mumkin nahi.

154. Khuda ki 4 rehmatein aisi hain jo insaan se bardaasht nahi hoti. (Beti, mehmaan, baarish aur bimaari)

155. Insaan ko tamaam pareshaniyan do wajah se hoti hai. (Taqdeer se zyada chahta hai aur waqt se pehle chahta hai)

156. Zindagi me kabhi kisi ko bhi ye mauqa mat do ki wo tumhare chehre se muskurahat cheen le, yaad rakho duniya tunhare liye hai tum duniya ke liye nahi.

157. Apni soch hamesha acchi rakho har ek ke baare me, kyunki tum jis nazariye se kisi ko dekhoge woh tum ko waisa hi nazar aayega.

158. Jinke gharon me subah ke waqt QURAN-e-PAAK ki tilawat hoti hai, wo ghar aasman walon ke liye yoon chamakta hai jaise zameen walon ke liye sitaare.

159. Agar koi tumhe bura kahe aur tumhe gussa aa jaye to samajh jao ki tum waqai bure ho.

160. Kisi ko apni safai bayan na karo, kyunki jo shakhs tumko pasand karta hai usko safai ki zarurat nahi.Aur jo tumse nafrat karta hai wo kabhi tum pe yaqeen nahi karega.

161. Kisi ka aib talaash karne wale ki misaal us makkhi ke jaisi hai, jo sara khoobsurat jism chhod kar sirf zakhm par hi baithti hai.

162. Bura aadmi kisi ke saath nek ghumaan nahi rakhta, kyunki wo har ek ko apne jaisa khayal karta hai.

163. Nabi-e-Kareem (pbuh) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, to ek shaks ne bukhar ko bura kaha.Nabi-e-Kareem (pbuh) ne farmaya: Bukhar ko bura mat kaho! Isliye ki wo Momin ko gunaaho se is tarah paak karta hai, jaise aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai.

164. Neki par ghuroor karna neki ka Ajr zaya kar deta hai.

165. Lafz insaan ke ghulam hote hai "Magar bolne se pehle". Bolne ke baad? "Insaan apne lafzon ka ghulam ban jata hai".

166. Daulatmand hone se insaan apne aap ko bhool jata hai aur daulat na hone par log use bhool jate hai.

167. Acche logon ke saath acche se pesh aana kamal nahi, balki bure logon ke saath acche se pesh aana kamal hai.
168. Teen insaan teen cheezon se mehroom rahenge!1- Gusse wala durust faisle se.2- Jhoota izzat se.3- Jaldbaaz kaamyabi se.

169. Agar tum use na pa sako, "Jise tum chahte ho"? To tum use zaroor pa lena jo tumhe chahta hai. Kyunki chahne se zyada chaahe jane ka ehsaas khoobsurat hota hai.

170. Insaan bhi kitna ajeeb hai, jab kisi cheez se darta hai to us se door bhagta hai. Aur jab ALLAH se darta hai to uske aur qareeb aa jata hai.

171. Insaan ka nuqsaan maal aur jaan ka chale jana nahi? Insaan ka sabse bada nuqsaan kisi ki nazar se gir jana hai.

172. Zarurat ke liye ALLAH ko pukarne wale dono suraton me ALLAH ko chhod dete hain?1-Zarurat poori hone par bhi.2-Zarurat poori na hone par bhi.

173. Daulat ho to ghair mulk bhi apna mulk hai aur daulat na ho to apna mulk bhi ghair mulk hai.

174. DOST chaahe jitna bhi bura banjaye, Kabhi us se dosti mat todna.Kyunki paani chaahe jitna bhi ganda hojaye Aag Bujhane ke kaam to zaroor aata hai...

175. Aurat bicchoo ka dank hai jo meetha hai.

176. Momin ki misaal taraazu ke paldhre jaisi hai, jis qadar uske imaan me izafa hota hai, utni hi uski aazmaish badhti hai.

177. Nabi-e-Kareem (pbuh) ne farmaya: Jo zyada maaf karega uski umar lambi hogi.

178. Maal maut tak saath deta hai, aulad qabr tak saath deti hai aur nek aamal hashar tak saath dete hai.

179. Logon ke khauf se haq ki baat kehne se mat daro, kyunki na to koi maut ko qareeb kar sakta hai or na hi koi rizq ko door kar sakta hai.

180. Maa ki azmath:
Jab Madine me ISLAM aam ho chuka tha to Nabi-e-Kareem (pbuh) ne farmaya : Agar aaj meri maa zinda hoti?Main Namaz-e-Isha me khada hota aur meri maa mujhe aawaz deti?O`MUHAMMAD (pbuh): To KHUDA ki kasam main farz namaz chhod kar daudta hua jata, aur maa ke khadm'on me gir jata?

181. Dua dastak ki tarah hai, musalsal dastak se darwaza khul hi jata hai.

182. Agar tumse koi pooche ki batao zindagi kya hai? (Hatheli pe zara si khaak rakhna aur udaa dena)

183. Teen cheezein zindagi mein ek baar milti hain. (Walidein,Husn,Jawani)Teen cheezein soch samjh kar uthao. (Qadam,Qasm,Qalm)Teen cheezein soch kar karo. (Mohabbat,Baat,Faisla) Teen cheezein kisi ka intezar nahi karti. (Maut,Waqt,Umar)Teen cheezein choti na samjho. (Farz,Marz,Qarz)

184. Do cheezein aisi hai agar inki khatir khoon ke aansu roya jaye to bhi kam hai. (Jawani aur sacche dost ki judai)

185. Ghurbat ki wajah se kisi ko Fakeer mat samjho kyunki uska "RAB" bhi wohi hai jo aap ka hai,Wo "Yeh" sab use ataa kar sakta hai aur aap se "Le" bhi sakta hai...

186. Agar tum apne ilm par takab'bur rakhte ho to jahalat ke liye ye hi kaafi hai.

187. Apne Gharon se makhdiyon ke jaalon ko door karte raho, kyunki yeh muflisi ke Baa'is hote hai.

188. Hazrat Esa (a.s) apni walida ki wafat ke baad unki qabr par gaye aur kaha :Pyari ammi jaan main ALLAH ke hukm se Murdon ko zinda karta hoon,Agar aap hukm de to main ALLAH se aapki zindgi maangun?Hazrat Maryam (a.s) ne farmaya : Duniya ki zindagi bohot khoobsurat hai, magar main maut ki takleef dobara nahi seh sakti.

189. ALLAH se jab dua maango to dua ki qubooliyat par yakeen rakho, kyunki ALLAH ghaafil aur laparwah dilon ki dua qubool nahi karta.

190. Acche aadmi se tab daro jab wo bhooka ho aur matlabi aadmi se tab jab uska pet bhara ho.

191. Insaan ki fitrat uske chote chote kaamon se zahir hoti hai, kyunki bade kaam wo hamesha soch samaj kar aur mansuba bandi ke saath hi karta hai.

192. Kareem hai mera RAB jo bardasht se zyada dukh nahi deta, agar auqaat se zyada sukh zaroor deta hai.

193. Tum jo ek bhi gaali gusse me ya mazaq me dete ho, us se tumhari qabr ke liye ek bicchoo ban jata hai.

194. Kisi ko kuch kam dene se mat sharmao, kyunki kuch bhi na dena us se zyada sharam ki baat hai.

195. Be-parda aurat ALLAH ke nazdeek koi izzat nahi rakhti. Hazrat Ali (r.a) Aurat ki be-pardagi mard ki behayai ka saboot hai. Bibi Fatima-tu-Zehra (r.a)

196. Gussa shaitan ki taraf se hai aur shaitan ko aag se paida kiya gaya hai aur aag ko paani bujhata hai. Isliye jab gussa aaye, to wazu kar liya karo.

197. Kisi ko chota mat samjho kyunki raaste ka mamooli patthar bhi muh ke bal gira sakta hai.

198. Kisi ko bhi parkho mat kyunki is se rishte kamzor ho jate hai.

199. Mujhe kanjoos aadmi par tajjub hota hai, jo zindagi muflison ki tarah guzarta hai aur aakhirat me hisaab maaldaron wala dega.

200. Aitbaar ki baarish me itna mat bheego ke jism nazar aane lage.

201. Insaan apni zindagi mein har cheez ke peeche bhagega magar do cheezein uska peeche bhagegi.(Uska rizq aur uski maut)

202. Agar tu sabr kare to jo taqdeer me likha hai wohi hoga, Magar is par tujhe ajr-o-sawab milega.Be-sabri kare to tab bhi wohi hoga jo likha hai, Magar tu gunahgar hoga.

203. Teen cheezein insaan ko ALLAH se door karti hai. (Apne aamal ko zyada samjhna, apne gunahon ko bhool jana aur apne aapko sabse behtar samajhna)

204. Logon ke dilon me apna muqam is tarah bana lo, agar marr jao to tumhare liye roye aur agar zinda ho to tumse milne ki khwahish kare.

205. Main buzurgon ki izzat isliye karta hoon, kyunki unki nekiyan mujhse zyada hai.Aur bacchon se pyar isliye karta hoon, kyunki unke gunah mujhse kam hai.

206. Insaan ka dil uski aankh ki kitaab hai.

207.Logon ko "Dua" me yaad rakhne ke liye kehne se zyada achha hai ki, tum aise aamal karo? Jis se logon ke dil se tumhare liye "Dua" nikle!

208. Tamaam nekiyan teen baaton me jama kardi gayi hai. (Nigah, khamoshi aur guftagu)

209. Aqalmand jab khamosh hota hai to fikr karta hai, jab bolta hai to zikr karta hai aur jab dekhta hai to ibrat hasil karta hai.

210. Jab hasad ki baarish shuru ho jaye to fasaad ke paudhe ugne lagte hai.

211. Musibaton ka muqabla sabr se karo aur nematon ki hifazat shukr se karo.

212. Dost us waqt tak dost nahi ho sakta, Jab tak ki woh apne dost ki izzat ka khayal uski ghair maujoodgi me na rakhe.

213. Beshak apni har cheez dost ke liye qurban kardo. Lekin kisi bhi cheez ke liye apne dost ko qurban mat karna.

214. Agar koi aapka dil dukhaye to naaraz na hona! Kyunki ye khudrat ka kanoon hai. Jis darakht pe phal zyada meetha hota hai log use patthar marte hai.

215. Tumhari wo khamoshi jis ke baad tum se baat karne ki khwahish paida ho jaye, tumhare us kalaam se behtar hai jis ke baad tum ko khamosh kar diya jaye.

216. Logon ko usi tarah maaf kiya karo jaise tum ALLAH se umeed rakhte ho ki woh tumhe maaf karega.

217. Jo shakhs fajr ki namaz ke baad 11 dafa surah iqlas (khul hu allahu ahad) padhega us din uske liye koi gunaah nahi likha jayega.

218. Ibadat aisi karo jis se rooh ko mazaa aaye, kyunki jo ibadat duniya me mazaa na de? Wo aakhirat me kiya jazaa degi?

219. Apni zaban ki tezi us maa par mat aazmao, jisne tumhe bolna sikhaya.

220. Insaan ke liye har wo din "EID" ka din hai jis din wo ALLAH ki nafarmani na kare.

221. Insaan beemari ke darr se ghiza chhod deta hai. Lekin Azaab ke darr se gunaah nahi chodta.

222. Jab tumhare dil me kisi ke liye nafrat paida hone lage to fauran uski acchaiyon ko yaad karo.

223. Hazrat Ali(r.a) se kisi ne poocha ki dost aur bhai me kya farq hai?Aap ne farmaya : Dost heera hai aur bhai sona!To usi shakhs ne dobara poocha ki kya aap dost ka rutba badha rahe hai bhai se?To aap ne farmaya : Nahi! sona to toot ke dobara pehle jaisa ban sakta hai lekin heera agar toot jaye to dobara pehle jaisa kabhi nahi ban sakta.

224. Hazrat Ali (r.a) se kisi ne pocha? Agar kisi ke ghar ka darwaza band kar diya jaye aur use tanha chhod diya jaye to uska rizq kahan se aayega?Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: Jahan se uski maut aayegi!!!

225. Kisi ne Hazrat Ali (r.a) se poocha: Ajeeb baat hai ALLAH to Nabi-e-Kareem (pbuh) ko apna mehboob kehte hai lekin kalime me pehle apna naam rakhte hai aur baad me Nabi-e-Kareem(pbuh) ka naam rakhte hai, Ye to ishq ke khilaaf hai.Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: Yehi to haqeeqi ishq hai. ALLAH chahte hai ki ALLAH ka naam lekar pehle zaban paak ki jaye aur phir paak zuban se uske mehboob ka naam liya jaye.*Subhan'Al
lah*

226. Gunaah se tauba karna wajib hai magar gunaah se bachna zyada wajib hai. Hazrat Abubakar Siddiq (r.a)Tauba ki takleef se behtar hai ki gunaah kiya hi na jaye. Hazrat Umar-e-Farooq (r.a)Gunaah kisi na kisi surat dil ko pareshan rakhta hai. Hazrat Osman Ibn-e-Affan (r.a)Sab se bura gunaah wo hai jo karne wal ki nazar me chhota ho. Hazrat Ali Ibn-e-Talib (Karam Allahu Wajhu)

227. Shareef ki kisi galati ko dekh kar us se nafrat na karo aur shareer ki koi acchi baat dekh kar dhoka na khao.

228. Jab kisi cheez se khatra mehsus karo to usme kood pado, kyunki khatra khauf se behtar hai.

229. Talwar do qism ki hoti hai ek lohe ki doosri mohabbat ki. Farq sirf itna hai ki lohe ki ek ku do karti hai aur mohabbat ki do ku ek karti hai.

230. Maine ALLAH ko apne iraadon ke tootne se pehchana hai.

231. Aqalmand ki zubaan uske dil ke peeche hoti hai aur bewakoof ka dil uski zubaan ke peeche.

232. Apni zubaan ko narm guftgo aur salam ka aadi banalo, kyunki isse tumhare dost zyada honge aur dushman kam.

233. Kisi ne Hazrat Ali (r.a) se poocha:Q: Qareeb kya hai? A: QayamatQ: Aur qareeb ter? A: MautQ: Ajeeb kya hai? A: DuniyaQ: Aur ajeeb ter? A: Talib-e-DuniyaQ: Wajib kya hai? A: TaubaQ: Aur wajib ter? A: Gunaah ke fauran baad tauba.Q: Mushkil kya hai? A: Qabr me utarna.Q: Aur mushkil ter? A: Amal ke bagair utarna.

234. Dushman chahe jitna bhi accha dost ban jaye, us par aitbaar na karna, kyunki paani ko chahe jitna bhi garam karlo, aag bhujane ke liye kaafi hota hai.

235. Mujhe jannat se zyada masjid me baithna accha lagta hai, kyunki jannat me mera nafs khush hoga aur masjid me mera RAB.

236. "Sabr" ek aisi sawari hai jo sawar ko kabhi girne nahi deti.

237. Ilm maal se behtar hai kyunki ilm tumhari hifazat karta hai aur tum maal ki hifazat karte ho.

238. ALLAH ne rizq ka vaada kiya hai jannat ka nahi, phir kyun rizq ke liye pareshan hote ho maghfirat ke liye nahi?

239. Zindagi ki asal khoobsurati ye nahi ke tum kitne khush ho, zindagi ki asal khoobsurati to ye hai ki doosre tum se kitna khush hai.

240. Agar koi shakhs apni jahalat tasleem kar le to yeh bhi ilm hai.

241. Duniya aur aakhirat ki misaal is tarah hai, jaise ek insaan ke do biwiyan, ek ko raazi karo to doosri rooth jati hai.

242. Khuda se kuch maangna ho to apne liye naseeb maango aqal nahi, kyunki bade bade aqalmand naseeb walon ke yahan ghulam hote hai.

243. Jab aap kisi se nafrat se baat karo, aur wo uskaa jawab mohabbat se de? To samajh jana ki wo aapko khud se zyada pyar karta hai.

244. Aap ka saccha dost hamesha aap se bohot zyada ladta hai, lekin agar aap ek aansu bhi girao to wo aap ke aansu rokne ke liye saari duniya se lad padta hai.

245. Duniya ek dhalata hua saya hai, agar ye tumhare liye baaqi bhi rahe to tum iske liye baaqi nahi rahoge.

246. ALLAH se maangna izzat ki baat hai, agar de to rehmat aur na de to hikmat.Bandon se maangna zillat ki baat hai, agar de to ehsaan na de to sharmindagi.

247. Jab tumhe khushiyan milne lage to teen cheezon ko mat bhoolna. (ALLAH ko, uski makhlooq ko aur apni asliyat ko)

248. Aye ALLAH! jab maine tujhse kuch bhi na maanga tab bhi tune mujhe ataa kiya, to main ye kaise maanlun ki main tujhse kuch maangun aur tu mujhe ataa na kare?

249. Duniya tumhe us waqt tak nahi hara sakti jab tak tum khud se na haar jao.

250. "Dua"
Mere ALLAH!
Meri izzat ke liye yehi kaafi hai ki main tera banda hoon, aur mere fakhr ke liye yehi kaafi hai ki tu mera parwardigar hai.Tu waisa hi hai jaise main chahta hoon, bas tu mujhko waisa banade jaisa tu chahta hai.

AmeeN

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Indian Partition: A brief history of India and Pakistan on the 70th anniversary of independence

Beautiful poetry by muneer niazi